shor meñ irtikāz miltā hai
tab kahīñ jā ke raaz miltā hai
guuñj uThtī hai duur tak āvāz
soz se jaise saaz miltā hai
aap hī aap haath malte hue
zindagī kā javāz miltā hai
ḳhvāb milte haiñ maḳhmalīñ kis ko
kis ko bistar gudāz miltā hai
kis se hotī haiñ raaz kī bāteñ
kis ko vo be-niyāz miltā hai
dekhiye kaun sī havāoñ meñ
vo havā.ī-jahāz miltā hai