Imran Shamshad

hamari mohabbat numu se nikal kar kali ban gai thi magar thi numu mein

Imran Shamshad

Karachi, Sindh, Pakistan

1978

hamārī mohabbat numū se nikal kar kalī ban ga.ī thī magar thī numū meñ

nigāhoñ se bāteñ kiye rahe the aTaktī jhijaktī huī guftugū meñ

na de ham ko ilzām ye ki ham ne tirī chaah meñ kuchh kiyā nahīñ hai

makāñ khod Daale zamāñ noch Daale kahāñ aa ga.e ham tirī justujū meñ

mujhe ye milā hai mujhe vo milā hai mujhe sab milā hai magar ye gila hai

maiñ kyā māñgtā thā ye kyā mil gayā hai ki sab mil gayā hai tirī aarzū meñ

kahīñ ḳhushbuoñ zarūrat paḌī to tumheñ soch kar saañs khīñche ga.e haiñ

na jaane kahāñ se chalī aa rahī hai ye ḳhushbū tumhārī hamāre lahū meñ

bhaTaktā phirā maiñ idhar se udhar aur udhar se idhar aur kidhar se kidhar

dhuāñ-dār mahfil na jaam o subū meñ maza jo hai vo hai faqat apnī ḳhū meñ

Top Urdushayar.com