ye ġhalat hai ye saal Thiik nahīñ
har ghaḌī kā malāl Thiik nahīñ
zindagī ik ḳhayāl-ḳhāna hai
aap kā ye ḳhayāl Thiik nahīñ
phuul ko dhuul kī zarūrat hai
is qadar dekh-bhāl Thiik nahīñ
girne vaale ne sar uThā ke kahā
in sitāroñ kī chaal Thiik nahīñ
ā.īna-sāz Thiik kahtā hai
shīshagar kī misāl Thiik nahīñ
saath chalte raho magar ḳhāmosh
is safar meñ savāl Thiik nahīñ
aap ke nāḳhunoñ se yaad aayā
mere zaḳhmoñ kā haal Thiik nahīñ
itnī chhoTī sī baat par 'imrran'
itnā gahrā malāl Thiik nahīñ