tum ne ye mājrā sunā hai kyā
jo bhī honā hai ho chukā hai kyā
vo musāfir jo rāste meñ thā
manziloñ se guzar gayā hai kyā
koī hotā nahīñ hai aap ke saath
aap ke saath mas.ala hai kyā
ye jo tadbīr kar rahā huuñ maiñ
ye bhī taqdīr meñ likhā hai kyā
sochne vaalī baat hai 'imrran'
koī ye baat sochtā hai kyā
dal badal jaa.e ghar badal jaa.e
aadmī kā koī patā hai kyā
kyā hai ye mustatīl tanhā.ī
ye udāsī kā dā.era hai kyā
ġhaur se kaun dekhtā hai yahāñ
in charāġhoñ meñ jal rahā hai kyā
kyuuñ vo sar par savār hai 'imrran'
tere dil se utar gayā hai kyā