Imran Shamshad

jal kar jis ne jal ko dekha

Imran Shamshad

Karachi, Sindh, Pakistan

1978
jal kar jis ne jal ko dekhā
tum ne us pāgal ko dekhā
ḳhvāb diye aur ā.īne meñ
aane vaale kal ko dekhā
vaqt ke sab se ūñche pul se
aate jaate pal ko dekhā
ḳhvāhish ke changul se aage
hairat ke jañgal ko dekhā
sahrā meñ ik kursī dekhī
kursī par sachchal ko dekhā
dekhīñ tishna-lab kī āñkheñ
āñkhoñ ke jal-thal ko dekhā
bādal jab dariyā par barsā
dariyā ne bādal ko dekhā
mausam ne jab karvaT badlī
chādar ne kambal ko dekhā
āñkhoñ kī gahrā.ī jaanī
peshānī ke bal ko dekhā
daldal ke sabze se guzre
sabze ke daldal ko dekhā
maazī ke har peḌ pe ham ne
mustaqbil ke phal ko dekhā
likhne vaalo haath uThā lo
kis kis ne maqtal ko dekhā
tum ne ziddī dekhe hoñge
dil jaise aḌiyal ko dekhā
mushkil kitnī mushkil meñ thī
mushkil ne jab hal ko dekhā
khurach khurach kar shak ne khaddar
mal mal kar malmal ko dekhā
dariyā pīr-ābād meñ kis ne
shālū aur shal shal ko dekhā
qaiñchī jab Dam Dam par jhapTī
kīkar ne pīpal ko dekhā
bālTī gailan tasle dekhe
aur phir maiñ ne nal ko dekhā
dariyā kī lahreñ gin gin ke
paanī kī botal ko dekhā
hairam dev ne sonā khā kar
chāñdī aur pītal ko dekhā
dekhā kyā kyā dekh rahā hai
ġhaur se jab goggle ko dekhā
channel par ḳhabreñ to dekhīñ
ḳhabroñ ke channel ko dekhā
Top Urdushayar.com