DhūñDiye din raat haftoñ aur mahīnoñ ke baTan
lā-makāñ meñ kho ga.e haiñ in makīnoñ ke button
sirf chhūne se nazar aatā hai manzar kā fareb
dekhne meñ ḳhush-numā haiñ ābgīnoñ ke button
daras-e-taqvā dene vaale kī qabā par dekhiye
sone chāñdī aur chamkīle nagīnoñ ke button
ab garebāñ chaak kā matlab batāne ke liye
kholne paḌte haiñ akasr āstīnoñ ke button
jab sadā-e-kun kā uglā marhala aa jā.egā
āsmāñ ke kaaj meñ hoñge zamīnoñ ke button
koī hai, varna ye duniyā kis qadar barbād ho
pāgaloñ ke haath meñ haiñ sab mashīnoñ ke button