zindagī meñ jo ye ravānī hai
ek kirdār kī kahānī hai
maiñ ne us se kahā ye aañsū haiñ
us ne mujh se kahā ye paanī hai
taaza taaza hai terā ġham 'imrran'
ye kahānī baḌī purānī hai
ek to sar-phirī havā kī chaal
aur kashtī bhī bādbānī hai
zaḳhm jis vaqt kī amānat thā
dard us daur kī nishānī hai
sher jis ko samajh rahe haiñ janāb
ye haqīqat meñ be-zabānī hai
phir vahī hai savāl-e-kaun-o-makāñ
phir vahī merī be-makānī hai
ai ḳhudā ye vajūd kā jhagḌā
ḳhaak kā hai ki āsmānī hai