Umang Bali

rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka

Umang Bali

rahe ḳhirām salāmat nadī ke dhāroñ kā
nikal na jaa.e kahīñ dam magar kināroñ kā
thā izitrāb-o-tamannā-e-dīd gul kā karam
bahut kaThin thā safar varna ḳhārzāroñ kā
satā rahī hai dil-e-shab ko kal ke chāñd kī yaad
uḌā uḌā sā hai kuchh aaj rañg tāroñ kā
jo ḳhush hai ek to us kī vafā ke charche haiñ
dukhā.e dil vo jahāñ meñ bhale hazāroñ kā
yahī hai lutf to phir jaur kis ko kahte haiñ
na samjhā koī bhī matlab tire ishāroñ kā
tan-e-barahna ho jaise libās kā muhtāj
huā hai sher bhī marhūn isti.āroñ kā
use to husn kī hurmat kā paas thā itnā
ki kā.enāt muammā hai parda-dāroñ kā
ho ibtilā se jahāñ āshiqī kī paimā.ish
to kyā ajab ho vahāñ josh be-qarāroñ kā
Top Urdushayar.com