jaan ise chalāne meñ ahrman kī khaptī hai
rāt-din magar duniyā naam terā japtī hai
raushnī ke jalve haiñ phalte phūlte jañgal
jin kī chhattr-chhāyā meñ tīrgī panaptī hai
guuñj sī yahāñ shab-bhar tum jo roz sunte ho
dasht kī panāhoñ meñ ḳhāmushī taḌaptī hai
kyā kahā kaho to phir dhyān husn sīrat kā
ai miyāñ mirī maano chhāp lo jo chhaptī hai
nā-gahāñ magar is meñ phuul kyuuñ nahīñ khilte
reg-zār kī mānind ḳhāk-e-dil bhī taptī hai
husn utar ke aatā hai yuuñ 'umañg' āñkhoñ meñ
jhiil jis tarah gahrī raushnī haḌaptī hai