pahle ye jism jalāyā jaa.e
ba.ad meñ shok manāyā jaa.e
us kī nazroñ meñ agar aanā hai
us kī bātoñ meñ na aayā jaa.e
ab to gardan pe hī ban aa.ī hai
ab to nazroñ ko uThāyā jaa.e
kis ko har shai se mohabbat hai bhalā
kis ko ā.īna banāyā jaa.e
vo jo aa.e na bulāyā jaa.e
vo na aa.e jo bulāyā jaa.e
aisī bāteñ jo sikhāne kī nahīñ
aisī bātoñ ko sikhāyā jaa.e
dil meñ baaqī haiñ abhī ummīdeñ
kyuuñ jigar kaam meñ laayā jaa.e
jis ko ab bhī ho siyāsat pe yaqīn
us ko ye mulk dikhāyā jaa.e
vaqt ke saath na ye chal paayā
ab ḳhudā phir se banāyā jaa.e