dard saare shab-e-ḳhāmosh meñ gir jaate haiñ
ashk jāhil haiñ mire hosh meñ gir jaate haiñ
bandagī ham ne tabī.at meñ vo paa.ī hai ki bas
sar ḳhudāoñ ke ka.ī dosh meñ gir jaate haiñ
jaane laġhzish ko hamārī sukūñ aa.egā kahāñ
dar se uThte haiñ to āġhosh meñ gir jaate haiñ
tere kūche se guzarte hue ḳhushiyoñ ke qadam
tez chalte haiñ magar josh meñ gir jaate haiñ
itne shātir haiñ yahāñ log kisī gulchīñ se
gul bachāte hue gul-posh meñ gir jaate haiñ
mai-kade se jo nikaltī hai ḳhamoshī 'rajnīsh'
lab vahīñ sāġhar-e-mai-nosh meñ gir jaate haiñ