Rajneesh Sachan

har ek chhoTi se chhoTi baat par nadan nikalti hai

Rajneesh Sachan

har ik chhoTī se chhoTī baat par nādāñ nikaltī hai
kahīñ tum kho na jaao soch kar hī jaañ nikaltī hai
na jaane kaise kaise dard siine meñ sulagte haiñ
na jaane kaisī kaisī saañs kuchh hairāñ nikaltī hai
kitābat se na jo sīkhā vo duniyā ne sikhāyā hai
ḳhushī kitnī bajā ho dard se pinhāñ nikaltī hai
ajab hai zindagī mushkil huī āsān samjhe the
jahāñ samjhā kiye mushkil vahīñ āsāñ nikaltī hai
vahī jaañ to nikālegī yahāñ par ho vahāñ par ho
jo ab tak yaañ nikaltī thī vahī ab vaañ nikaltī hai
Top Urdushayar.com