tañg-dastī meñ karo logo guzārā dekh kar
apnī nīndeñ mat uḌaao ḳhvāb mahñgā dekh kar
naam se mere nagar meñ ik mohalla dekh kar
merā dushman mar na jaa.e mujh ko zinda dekh kar
yaad aa.e us ghaḌī apne gharoñ ke rāste
be-tahāsha thak ga.e jab log mela dekh kar
kyā ḳhabar thī apne hī hāthoñ se maarā jā.egā
kal batā detā thā jo hāthoñ kī rekhā dekh kar
rāste meñ nā-murādoñ ne añdherā kar diyā
ik badan ke saath kuchh sāyoñ ko chaltā dekh kar
yuuñ to munsif par mujhe puurā bharosā hai magar
achchhe achchhe Dagmagā jaate haiñ paisa dekh kar