Dar ke jiine se to behtar mirā mar jaanā hai
kū-e-jānāñ se guzarte hue ghar jaanā hai
mere haq meñ koī nīñdoñ kī duā.eñ kar de
mujh ko ḳhushiyoñ ke liye ḳhvāb nagar jaanā hai
kyoñ na āñkheñ mirī rone pe kamar-basta hoñ
aaj us ne mire ashkoñ ko guhar jaanā hai
is liye naaz hai dariyāoñ se nisbat rakh kar
un kā anjām samundar meñ utar jaanā hai
jis ko marnā hai mire bhiiḌ meñ rah kar 'anjum'
ho jahāñ taaza havā tujh ko udhar jaanā hai