falak se chāñd tāroñ ko utartā dekhtā huuñ maiñ
hamesha jāgtī āñkhoñ se sapnā dekhtā huuñ maiñ
mujhe ma.alūm hai ġhurbat abhī banñe nahīñ degī
banā kar roz lekin ghar kā naqsha dekhtā huuñ maiñ
hamārī be-ma.āshī ne hameñ ye din dikhā.e haiñ
javāñ chehroñ pe bhī aksar buḌhāpā dekhtā huuñ maiñ
mujhe mil jaa.eñ shāyad kuchh mire bichhḌe hue sāthī
isī ummīd pe duniyā kā mela dekhtā huuñ maiñ
mile koī bhalā kyoñ mujh se 'anjum' aa.ina le kar
hamesha dūsroñ ko ḳhud se achchhā dekhtā huuñ maiñ