yuuñ baaġh koī ham ne ujaḌtā nahīñ dekhā
muddat se kisī phuul kā chehra nahīñ dekhā
is shahr meñ shāyad koī dil vaalā nahīñ hai
jo husn kahīñ bantā sañvartā nahīñ dekhā
sayyād se gul karte rahe jaan kā saudā
maalī ne lahū kā koī dariyā nahīñ dekhā
jo sukh ke ujāle meñ thā parchhā.īñ hamārī
ab dukh ke añdhere meñ vo saayā nahīñ dekhā
idrāk kī sarhad pe ka.ī baar gayā huuñ
jo had se guzar jaatā vo lamha nahīñ dekhā
ḳhuddārī-e-insāñ ko amaañ kaise milegī
muddat se zamāne meñ masīhā nahīñ dekhā