kabhī zamīn kabhī āsmāñ meñ tairtā huuñ
tilism-e-nūr ke ik ik nishāñ meñ tairtā huuñ
ba-rañg-e-sāz kabhī barbatoñ se phūTtā huuñ
kabhī ba-shakl-e-sadā armuġhāñ meñ tairtā huuñ
kabhī maiñ Dhaltā huuñ kāġhaz pe naqsh kī sūrat
maiñ lafz ban ke kisī kī zabāñ meñ tairtā huuñ
kabhī kabhī to mujhe bhī ḳhabar nahīñ hotī
ki kis maqām pe kis kis jahāñ meñ tairtā huuñ
mire safar meñ koī ajnabī sā rahtā hai
muhīt sher ke jab imtihāñ meñ tairtā huuñ