ab dard be-dayār hai aur jag-hañsā.ī hai
is ishq ne bhī kaisī javāñ maut paa.ī hai
bādal haiñ dal ke dal koī rauzan kahīñ nahīñ
ab chhāvnī ġhamoñ ne falak par bhī chhā.ī hai
ruḳhsat ke ba.ad tere sarāpe se māvarā
ye kaun sī adā hai jo ab yaad aa.ī hai
aa.ī jo sar pe dhuup lage ḳhema-e-ḳhayāl
tum ho jabhī to vaqt ko yuuñ niiñd aa.ī hai
chup ho gayā hai dil sā fasāna-nigār bhī
tanhā.ī ik rahī thī so vo bhī parā.ī hai
kyā ab kabhī junūñ kā bulāvā na aa.egā
sahrā kī ḳhaak uḌ ke ḳhayābāñ meñ aa.ī hai
jo guzre ġham ko ḳhud meñ samo.e raheñge ham
ham ne 'zahīr' jiine kī saugand khaa.ī hai