Zaheer Fatehpuri

jamal pa ke tab-o-tab-e-gham yagana hua hai

Zaheer Fatehpuri

jamāl pā ke tab-o-tāb-e-ġham yagāna huā hai
mire liye ye zar-e-gul charāġh-e-ḳhāna huā hai
ram-e-ḳhayāl harīf-e-ram-e-zamāna huā hai
tulū-e-sub.h-e-tamannā payambarāna huā hai
nayan meñ dil kī gulābī kā aks jhuum rahā hai
dukhoñ kī dhuum hai aalam sharāb-ḳhāna huā hai
bas ek jot jagī hai kahīñ koī bhī nahīñ hai
mizāj-e-vasl ba-har-rañg-e-ārifāna huā hai
kuchh aur dhuup mire ġham kuchh aur ashk jhamā-jham
ghanā huā hai ye jañgal to shāmiyāna huā hai
mire nigār-e-gurezāñ tujhe maiñ kaise bhulā duuñ
ki tū parastish-e-asnām kā bahāna huā hai
jagat jagat mire jī ko junūñ uḌaa.e phire hai
tirī tarah tirā ġham āfat-e-zamāna huā hai
ye chhāñv chhāñv na rovo 'zahīr' dil ko sambhālo
Dhalī hai shaam magar yuuñ koī divāna huā hai
Top Urdushayar.com