Zaheer Fatehpuri

dard in dinon yun chehra-e-alam pe saja hai

Zaheer Fatehpuri

dard in dinoñ yuuñ chehra-e-ālam pe sajā hai
har shaḳhs ne jaise mirā ġham baañT liyā hai
har aan tire tan meñ vo jaadū sā rachā hai
jo vasl kā lamha hai vo sahrā kī ghaTā hai
ik umr ke ba.ad aaj yakāyak jo mile ho
vo sail-e-masarrat hai ki dil Duub gayā hai
vo baat jo sun paao to pahroñ tumheñ taḌpā.e
ik lamhe kī tanhā.ī ne jo mujh se kahā hai
ho dost ki dil koī chhupā.e nahīñ chhuptā
har choT ke pahlū meñ ik ā.īna lagā hai
jañgal the junūñ-ḳhez hue shahr bhī vīrāñ
sannāTe meñ har qarya-e-dil jaag gayā hai
kyā kis se gilā kījiye ḳhud ham nahīñ apne
duniyā kā 'zahīr' in dinoñ kyā haal huā hai
Top Urdushayar.com