parbat tire pahlū meñ agar khaa.ī nahīñ hai
kaahe kī bulandī jahāñ gahrā.ī nahīñ hai
ab koī vahāñ is liye hotā nahīñ rusvā
kūche meñ tire koī tamāshā.ī nahīñ hai
hazrat jo ravādārī nazar aap meñ aa.ī
kyoñ aap ke bachchoñ meñ nazar aa.ī nahīñ hai
duniyā ne to us meñ bhī ka.ī naqs nikāle
tasvīr jo maiñ ne abhī banvā.ī nahīñ hai
is vāste bhī raushnī hai bā.is-e-vahshat
āñkhoñ kī charāġhoñ se shanāsā.ī nahīñ hai
ḳhud baañT ke ā.eñge vahāñ apnī sadā ham
jis samt havāoñ ne ye pahuñchā.ī nahīñ hai
shāyad ki har ik shaḳhs ko hotī hai mohabbat
aur sab hī ye kahte haiñ ki dānā.ī nahīñ hai
logoñ se 'hasan' kar ke ka.ī baar kināra
dekhā hai kisī kaam kī tanhā.ī nahīñ hai