Ehtisham Hasan

yun samaya hai ki ab sar se nikalne ka nahin

Ehtisham Hasan

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1969
yuuñ samāyā hai ki ab sar se nikalne kā nahīñ
maiñ jo chāhūñ bhī to ik Dar se nikalne kā nahīñ
maiñ ne jo ḳhauf piroyā thā ragoñ meñ apnī
aisā baiThā hai ki andar se nikalne kā nahīñ
baad koshish ke natīja ye nikālā maiñ ne
zindagī maiñ tire chakkar se nikalne kā nahīñ
khīñch laate haiñ haqīqat meñ havādis varna
aadmī ḳhvāb ke mehvar se nikalne kā nahīñ
sar paTaḳhtā nahīñ pinjre meñ parinda yūñhī
shauq-e-parvāz kabhī par se nikalne kā nahīñ
ik saḌak aur mirā āTHvāñ dasvāñ chakkar
aur mujhe ilm hai vo ghar se nikalne kā nahīñ
apne andar yuuñ chhupā.e haiñ sanam patthar ne
but koī tesha-e-āzar se nikalne kā nahīñ
ġham-e-daurāñ bhī hai yuuñ jaise mirā yaum-e-hisāb
maiñ to duniyā meñ bhī mahshar se nikalne kā nahīñ
dhoñs detā hai ye sūraj mujhe har shaam 'hasan'
vo jo Duubā to samundar se nikalne kā nahīñ
Top Urdushayar.com