Ehtisham Hasan

aqab mein darmiyan aur samne wali nashiston par

Ehtisham Hasan

Bahawalpur, Punjab, Pakistan

1969
aqab meñ darmiyāñ aur sāmne vaalī nashistoñ par
jahāñ dekhā vahāñ the aap hī saarī nashistoñ par
vo jab stage par aayā to pīchhe baiThne vaale
chale aa.e qatāreñ toḌ kar aglī nashistoñ par
ḳhabar hī na milī un ko tamāshā ḳhatm hone kī
tamāshā.ī jhagaḌte rah ga.e ḳhālī nashistoñ par
gale meñ dil uchhal kar aa gayā sab ahl-e-mahfil kā
jab us ne be-niyāzī se nazar Daalī nashistoñ par
unheñ har hukm sun kar shaah kī tā.īd karnī thī
riyāzat kaaT kar pahuñche jo darbārī nashistoñ par
yahāñ par har kisī ko hukmarāñ hone kī ḳhvāhish hai
nazar hizb-e-muḳhālif kī hai sarkārī nashistoñ par
jo dekhī ziist ke stage par apnī adākārī
maiñ royā baarī baarī baiTh kar ḳhālī nashistoñ par
'hasan' ham ko bhī apnī shā.irī par daad mil jaatī
hamāre dost jā kar so ga.e pichhlī nashistoñ par
Top Urdushayar.com