ye kyā hālat banā rakkhī hai ye āsār kaise haiñ
bahut achchhā-bhalā chhoḌā thā ab bīmār kaise
vo mujh se pūchhne aa.ī hai kuchh likkhā nahīñ mujh par
maiñ us ko kaise samjhā.ūñ mire ash.ār kaise haiñ
mirī socheñ haiñ kaisī kaun in sochoñ kā markaz hai
jo mere zehn meñ palte haiñ vo afkār kaise haiñ
mire dil kā alāvoñ aaj tak dekhā nahīñ jis ne
vo kyā jaane ki sho.ale sūrat-e-iz.hār kaise haiñ
ye mantiq kaun samjhegā ki yaḳh-kamre kī ThanDak meñ
mire alfāz ke malbūs sho.ala-bār kaise haiñ
zarā sī ek farmā.ish bhī puurī kar nahīñ sakte
mohabbat karne vaale log bhī lāchār kaise haiñ
judā.ī kis tarah bartāv ham logoñ se kartī hai
mizājan ham-suḳhnavar be-dil-o-be-zār kaise haiñ