Etibar Sajid

phul the rang the lamhon ki sabahat hum the

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
phuul the rañg the lamhoñ kī sabāhat ham the
aise zinda the ki jiine kī alāmat ham the
sab ḳhirad-mand bane phirte the māshā-allāh
bas tire shahr meñ ik sāhib-e-vahshat ham the
naam baḳhshā hai tujhe kis ke vufūr-e-ġham ne
gar koī thā to tire mujrim-e-shohrat ham the
ab to ḳhud apnī zarūrat bhī nahīñ hai ham ko
vo bhī din the ki kabhī terī zarūrat ham the
dhuup ke dasht meñ kitnā vo hameñ DhūñDtā thā
'e'tibār' us ke liye abr kī sūrat ham the
Top Urdushayar.com