shahr-e-havā meñ jalte rahnā andeshoñ kī chaukhaT par
raat ga.e tak uljhe rahnā be-mafhum ḳhayāloñ meñ
qasr-e-umr gavāhī degā kaise kaise karb sahe
kaisī kaisī rut guzrī hai ham par itne sāloñ meñ
dosh-e-ḳhalā se ḳhāk-e-zamīñ par utre to ehsās huā
taare bāñTne vaale raahī paḌ ga.e kin janjāloñ meñ
le aa.ī kis qarya-e-shab meñ ik jhūTe mahtāb kī chaah
saaya saaya bhaTak rahā huuñ be-tanvīr ujāloñ meñ
mausam mausam yahī rahā gar ḳhushbū kī tahqīr kā rañg
siise kī kaliyāñ phūTeñgī ab lohe kī Dāloñ meñ
'sājid' ab tak bhugat rahe haiñ ik be-ant sazā kī umr
apnā naam likhā baiThe the ik din jiine vāloñ meñ