Etibar Sajid

tilism-zar-e-shab-e-mah mein guzar jae

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
tilism-zār-e-shab-e-māh meñ guzar jaa.e
ab itnī raat ga.e kaun apne ghar jaa.e
ajab nasha hai tire qurb meñ ki jī chāhe
ye zindagī tirī āġhosh meñ guzar jaa.e
maiñ tere jism meñ kuchh is tarah samā jā.ūñ
ki terā lams mirī ruuh meñ utar jaa.e
misāl-e-barg-e-ḳhizāñ hai havā kī zad pe ye dil
na jaane shāḳh se bichhḌe to phir kidhar jaa.e
maiñ yuuñ udaas huuñ imshab ki jaise rañg-e-gulāb
ḳhizāñ kī chaap se be-sāḳhta utar jaa.e
havā-e-shām-e-judā.ī hai aur ġham lāhaq
na jaane jism kī dīvār kab bikhar jaa.e
agar na shab kā safar ho tire husūl kī shart
faroġh-e-mahr tirā e'tibār mar jaa.e
Top Urdushayar.com