Etibar Sajid

kisi ne dil ke taq par jala ke rakh diya hamein

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
kisī ne dil ke taaq par jalā ke rakh diyā hameñ
magar havā-e-hijr ne bujhā ke rakh diyā hameñ
hazār ham ne zabt se liyā thā kaam kyā kareñ
kisī ke āñsuoñ ne phir rulā ke rakh diyā hameñ
hamārī shohrateñ ḳharāb is tarah bhī us ne kiiñ
ki apne āshnāoñ se milā ke rakh diyā hameñ
hameñ is anjuman meñ jaane us ne kyuuñ bulā liyā
bulā liyā aur ik taraf biThā ke rakh diyā hameñ
faqat ham ek dekhne kī chiiz ban ke rah ga.e
kisī ne aisā ishq meñ banā ke rakh diyā hameñ
ham 'e.atibār' us kī har shikast meñ sharīk the
magar bisāt se alag uThā ke rakh diyā hameñ
Top Urdushayar.com