ye barsoñ kā ta.alluq toḌ denā chāhte haiñ ham
ab apne aap ko bhī chhoḌ denā chāhte haiñ ham
kisī dahlīz par āñkhoñ ke ye raushan diye rakh kar
zamīr-e-sub.h ko jhiñjhoḌ denā chāhte haiñ ham
jidhar ham jā rahe haiñ us taraf TuuTā huā pul hai
ye bāgeñ is se pahle moḌ denā chāhte haiñ ham
ye naubat kal jo aanī hai to sharminda nahīñ hoñge
marāsim ehtiyātan toḌ denā chāhte haiñ ham
ajab dīvāngī hai jis ke ham saa.e meñ baiThe haiñ
usī dīvār se sar phoḌ denā chāhte haiñ ham
ta.alluq kirchiyoñ kī shakl meñ bikhrā to hai phir bhī
shikasta ā.īnoñ ko joḌ denā chāhte haiñ ham