Etibar Sajid

aane wali thi KHizan maidan Khaali kar diya

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948

aane vaalī thī ḳhizāñ maidān ḳhālī kar diyā

kal havā-e-shab ne saarā lawn ḳhālī kar diyā

ham tire ḳhvāboñ jannat se nikal kar aa ga.e

dekh terā qasr-e-ālī-shān ḳhālī kar diyā

dushmanoñ ne shust bāñdhī ḳhema-e-ummīd par

dostoñ ne darra-e-imkān ḳhālī kar diyā

bāñTne niklā hai vo phūloñ ke tohfe shahr meñ

is ḳhabar par ham ne bhī gul-dān ḳhālī kar diyā

le gayā vo saath apne dil saarī raunaqeñ

kis qadar ye shahr thā gunjān ḳhālī kar diyā

saarī chiḌiyāñ uḌ ga.iiñ mujh ko akelā chhoḌ kar

mere ghar sehn aur dālān ḳhālī kar diyā

Diary meñ saare achchhe sher chun kar likh liye

ek laḌkī ne mirā dīvān ḳhālī kar diyā

Top Urdushayar.com