āñkhoñ se ayaañ zaḳhm kī gahrā.ī to ab hai
ab aa bhī chuko vaqt-e-masīhā.ī to ab hai
pahle ġham-e-furqat ke ye tevar to nahīñ the
rag rag meñ utartī huī tanhā.ī to ab hai
taarī hai tamannāoñ pe sakrāt kā aalam
har saañs rifāqat kī tamannā.ī to ab hai
kal tak mirī vahshat se faqat tum hī the āgāh
har gaam pe andesha-e-rusvā.ī to ab hai
kyā jaane mahaktī huī sub.hoñ meñ koī dil
shāmoñ meñ kisī dard kī ra.anā.ī to ab hai
dil-soz ye taare haiñ to jāñ-soz ye mahtāb
dar-asal shab-e-anjuman-ārā.ī to ab hai
saf-basta haiñ har moḌ pe kuchh sañg-ba-kaf log
ai zaḳhm-e-hunar lutf-e-pazīrā.ī to ab hai