ye Thiik hai ki bahut vahshateñ bhī Thiik nahīñ
magar hamārī zarā ādateñ bhī Thiik nahīñ
agar milo to khule dil ke saath ham se milo
ki rasmī rasmī sī ye chāhateñ bhī Thiik nahīñ
ta.alluqāt meñ gahrā.iyāñ to achchhī haiñ
kisī se itnī magar qurbateñ bhī Thiik nahīñ
dil o dimāġh se ghāyal haiñ tere hijr-nasīb
shikasta dar bhī haiñ un kī chhateñ bhī Thiik nahīñ
qalam uThā ke chalo hāl-e-dil hī likh Daalo
ki raat din kī bahut furqateñ bhī Thiik nahīñ
tum 'e'tibār' pareshāñ bhī in dinoñ ho bahut
dikhā.ī paḌtā hai kuchh sohbateñ bhī Thiik nahīñ