Etibar Sajid

mujhe aisa lutf ata kiya ki jo hijr tha na visal tha

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
mujhe aisā lutf atā kiyā ki jo hijr thā na visāl thā
mire mausamoñ ke mizāj-dāñ tujhe merā kitnā ḳhayāl thā
kisī aur chehre ko dekh kar tirī shakl zehn meñ aa ga.ī
tirā naam le ke milā use mere hāfize kā ye haal thā
kabhī mausamoñ ke sarāb meñ kabhī bām-o-dar ke azaab meñ
vahāñ umr ham ne guzār dī jahāñ saañs lenā muhāl thā
kabhī tū ne ġhaur nahīñ kiyā ki ye log kaise ujaḌ ga.e
koī 'mīr' jaisā girafta-dil tere sāmne kī misāl thā
tire ba.ad koī nahīñ milā jo ye haal dekh ke pūchhtā
mujhe kis kī aag jalā ga.ī mire dil ko kis kā malāl thā
kahīñ ḳhūn-e-dil se likhā to thā tire sāl-e-hijr kā sāneha
vo adhūrī Diary kho ga.ī vo na-jāne kaun sā saal thā
Top Urdushayar.com