tark-e-ta.alluq kar to chuke haiñ ik imkān abhī baaqī hai
ek mahāz se lauT aa.e haiñ ik maidān abhī baaqī hai
shāyad us ne hañsī hañsī meñ tark-e-vafā kā zikr kiyā ho
yūñhī sī ik ḳhush-fahmī hai itminān abhī baaqī hai
rāteñ us ke hijr meñ ab bhī naza.a ke aalam meñ kaTtī haiñ
dil meñ vaisī hī vahshat hai tan meñ jaan abhī baaqī hai
bachpan ke is ghar ke saare kamre maliyā-meT hue
jis meñ ham khelā karte the vo dālān abhī baaqī hai
diye muñDer pa rakh aate haiñ ham har shaam na jaane kyuuñ
shāyad us ke lauT aane kā kuchh imkān abhī baaqī hai
ek adālat aur hai jis meñ ham tum ik din hāzir hoñge
faisla sun kar ḳhush mat honā ik mīzān abhī baaqī hai