bande zamīn aur āsmāñ sarmā kī shab kahāniyāñ
sachchī haiñ ye rifāqateñ baaqī haiñ sab kahāniyāñ
ḳheme ukhaḌ ujaḌ ga.e aisī havā-e-shab chalī
kirneñ zamīñ pe likh ga.iiñ kaisī ajab kahāniyāñ
vus.at-e-dasht ke makīñ vaadī meñ kuuch kar ga.e
shāḳhoñ pe barf likh ga.ī naġhma-ba-lab kahāniyāñ
chāñd kī ḳhaak aa ga.ī pairoñ tale hayāt ke
aisī kaThin rivāyateñ aisī kaDhab kahāniyāñ
jauhar-e-haq nahīñ milā mujh ko kisī kitāb meñ
miTTī se sun rahā huuñ maiñ ālī-nasab kahāniyāñ
vus.at-e-koh-o-dasht ho shahr o nagar kā gasht ho
merā safar hikāyateñ merā adab kahāniyāñ
shahroñ ko kyā ḳhabar ki maiñ kaun huuñ kis fazā meñ huuñ
likhnī haiñ ek din mujhe sabr-talab kahāniyāñ