mirī ruuh meñ jo utar sakeñ vo mohabbateñ mujhe chāhiyeñ
jo sarāb hoñ na azaab hoñ vo rifāqateñ mujhe chāhiyeñ
unhīñ sā.atoñ kī talāsh hai jo calendaroñ se utar ga.iiñ
jo samay ke saath guzar ga.iiñ vahī fursateñ mujhe chāhiyeñ
kahīñ mil sakeñ to sameT lā mare roz o shab kī kahāniyāñ
jo ġhubār-e-vaqt meñ chhup ga.iiñ vo hikāyateñ mujhe chāhiyeñ
jo mirī shaboñ ke charāġh the jo mirī umiid ke baaġh the
vahī log haiñ mirī aarzū vahī sūrateñ mujhe chāhiyeñ
tirī qurbateñ nahīñ chāhiyeñ marī shā.irī ke mizāj ko
mujhe fāsloñ se davām de tarī furqateñ mujhe chāhiyeñ
mujhe aur kuchh nahīñ chāhiye ye duā.eñ haiñ mare sā.ebāñ
kaḌī dhuup meñ kahīñ mil sakeñ to yahī chhateñ mujhe chāhiyeñ