bahut sajā.e the āñkhoñ meñ ḳhvāb maiñ ne bhī
sahe haiñ us ke liye ye azaab maiñ ne bhī
judā.iyoñ kī ḳhalish us ne bhī na zāhir kī
chhupā.e apne ġham o iztirāb maiñ ne bhī
diye bujhā ke sar-e-shām so gayā thā vo
bitā.ī so ke shab-e-māhtāb maiñ ne bhī
yahī nahīñ ki mujhe us ne dard-e-hijr diyā
judā.iyoñ kā diyā hai javāb maiñ ne bhī
kisī ne ḳhuun meñ tar chūḌiyāñ jo bhejī haiñ
likhī hai ḳhūn-e-jigar se kitāb maiñ ne bhī
ḳhizāñ kā vaar bahut kār-gar thā dil pe magar
bahut bachā ke rakhā ye gulāb maiñ ne bhī