kisī ko ham se haiñ chand shikve kisī ko behad shikāyateñ haiñ
hamāre hisse meñ sirf apnī safā.iyāñ haiñ vazāhateñ haiñ
qadam qadam par badal rahe haiñ musāfiroñ kī talab ke raste
havāoñ jaisī mohabbateñ haiñ sadāoñ jaisī rifāqateñ haiñ
kisī kā maqrūz maiñ nahīñ par mire garebāñ pe haath sab ke
koī mirī chāhatoñ kā dushman kisī ko darkār chāhateñ haiñ
tirī judā.ī ke kitne sūraj ufuq pe Duube magar abhī tak
ḳhalish hai siine meñ pahle din sī lahū maiñ vaisī hī vahshateñ haiñ
mirī mohabbat ke rāz-dāñ ne ye kah ke lauTā diyā mirā ḳhat
ki bhīgī bhīgī sī āñsuoñ meñ tamām gunjalak ibārateñ haiñ
maiñ dūsroñ kī ḳhushī kī ḳhātir ġhubār ban kar bikhar gayā huuñ
magar kisī ne ye haq na maanā ki merī bhī kuchh zarūrateñ haiñ