mujh se muḳhlis thā na vāqif mire jazbāt se thā
us kā rishta to faqat apne mafādāt se thā
ab jo bichhḌā hai to kyā ro.eñ judā.ī pe tirī
yahī andesha hameñ pahlī mulāqāt se thā
dil ke bujhne kā havāoñ se gilā kyā karnā
ye diyā naza.a ke aalam meñ to kal raat se thā
markaz-e-shahr meñ rahne pe musir thī ḳhilqat
aur maiñ vābasta tire dil ke mazāfāt se thā
maiñ ḳharāboñ kā makīñ aur ta.alluq merā
tere naate kabhī ḳhvāboñ ke mahallāt se thā
lab-kushā.ī pe khulā us ke suḳhan se iflās
kitnā ārāsta vo atlas-o-bānāt se thā