dhaḌkan dhaḌkan yādoñ kī bārāt akelā kamra
maiñ aur mere zaḳhmī ehsāsāt akelā kamra
ga.e dinoñ kī tasvīroñ ke bujhte hue nuqūsh
taaza tark-e-ta.alluq ke sadmāt akelā kamra
dosh-e-havā par uḌne vaale ḳhizāñ ke āḳhirī patte
apnī akelī jaan ġham-e-hālāt akelā kamra
āḳhirī shab ke chāñd se karnā bālkanī meñ bāteñ
us ke shahr meñ hotel kī ye raat akelā kamra
merī sisaktī āvāzoñ se gūñjtī haiñ dīvāreñ
suntā hai din raat mare naġhmāt akelā kamra
sab sāmān baham haiñ 'sājid' likhne likhāne ke
ḳhūn-e-jigar aur aañsū dil kī davāt akelā kamra