Etibar Sajid

band dariche suni galiyan an-dekhe anjaane log

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
band darīche suunī galiyāñ an-dekhe anjāne log
kis nagrī meñ aa nikle haiñ 'sājid' ham dīvāne log
ek hamī nā-vāqif Thahre rūp-nagar kī galiyoñ se
bhes badal kar milne vaale sab jāne-pahchāne log
din ko raat kaheñ so bar-haq sub.h ko shaam kaheñ so ḳhuub
aap kī baat kā kahnā hī kyā aap hue farzāne log
shikva kyā aur kaisī shikāyat āḳhir kuchh buniyād to ho
tum par merā haq hī kyā hai tum Thahre begāne log
shahr kahāñ ḳhālī rahtā hai ye dariyā har-dam bahtā hai
aur bahut se mil jā.eñge ham aise dīvāne log
sunā hai us ke ahd-e-vafā meñ havā bhī muft nahīñ miltī
un galiyoñ meñ har har saañs pe bharte haiñ jurmāne log
Top Urdushayar.com