Etibar Sajid

bhiD hai bar-sar-e-bazar kahin aur chalen

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
bhiiḌ hai bar-sar-e-bāzār kahīñ aur chaleñ
aa mire dil mire ġham-ḳhvār kahīñ aur chaleñ
koī khiḌkī nahīñ khultī kisī bāġhīche meñ
saañs lenā bhī hai dushvār kahīñ aur chaleñ
tū bhī maġhmūm hai maiñ bhī huuñ bahut afsurda
donoñ is dukh se haiñ do-chār kahīñ aur chaleñ
DhūñDte haiñ koī sarsabz kushāda sī fazā
vaqt kī dhund ke us paar kahīñ aur chaleñ
ye jo phūloñ se bharā shahr huā kartā thā
us ke manzar haiñ dil-āzār kahīñ aur chaleñ
aise hañgāmā-e-mahshar meñ to dam ghuTtā hai
bāteñ kuchh karnī haiñ is baar kahīñ aur chaleñ
Top Urdushayar.com