Etibar Sajid

kaha din ko bhi ye ghar kis liye viran rahta hai

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
kahā din ko bhī ye ghar kis liye vīrān rahtā hai
yahāñ kyā ham sā koī be-sar-o-sāmān rahtā hai
dar-o-dīvār sannāTe kī chādar meñ haiñ ḳhvābīda
bhalā aisī jagah zinda koī insān rahtā hai
musalsal pūchhne par ek chilman se javāb aayā
yahāñ ik dil-shikasta sāhab-e-dīvān rahtā hai
jhijak kar maiñ ne pūchhā kyā kabhī bāhar nahīñ aatā
javāb aayā use ḳhalvat meñ itmīnān rahtā hai
kahā kyā us ke rishta-dār bhī milne nahīñ aate
javāb aayā ye sahrā rāt-din sunsān rahtā hai
kahā koī to hogā us ke dukh-sukh bāñTne vaalā
javāb aayā nahīñ ḳhālī ye ghar ye lawn rahtā hai
kahā is ghar ke āñgan meñ haiñ kuchh phūloñ ke paude bhī
javāb aayā ki ḳhālī phir bhī har gul-dān rahtā hai
kahā kyā is mohalle meñ nahīñ pursān-e-hāl us kā
javāb aayā ḳhayāl us kā mujhe har aan rahtā hai
ḳhudā kā shukr hai ham ik fazā meñ saañs lete haiñ
agar milte nahīñ itnā to itmīnān rahtā hai
Top Urdushayar.com