Etibar Sajid

wo pahli jaisi wahshaten wo haal hi nahin raha

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
vo pahlī jaisī vahshateñ vo haal hī nahīñ rahā
ki ab to shauq rāhat-e-visāl hī nahīñ rahā
tamām hasrateñ har ik savāl dafn kar chuke
hamāre paas ab koī savāl hī nahīñ rahā
talāsh-e-rizq meñ ye shaam is tarah guzar ga.ī
koī hai apnā muntazir ḳhayāl hī nahīñ rahā
in aate jaate roz-o-shab ki gardishoñ ko dekh kar
kisī ke hijr kā koī malāl hī nahīñ rahā
hamārā kyā banegā kuchh na kuchh to is pe sochte
magar kabhī hameñ ġham-e-ma.āl hī nahīñ rahā
tumhāre ḳhāl-o-ḳhad pe ik kitāb likh rahe the ham
magar tumhārā husn be-misāl hī nahīñ rahā
sañvārtā nikhārtā maiñ kaise apne aap ko
tumhāre baad apnā kuchh ḳhayāl hī nahīñ rahā
zarā sī baat se diloñ meñ itnā farq aa gayā
ta.alluqāt kā to phir savāl hī nahīñ rahā
Top Urdushayar.com