kahā taḳhlīq-e-fan bole bahut dushvār to hogī
kahā maḳhlūq bole bā.is-e-āzār to hogī
kahā: ham kyā kareñ is ahd-e-nā-pursāñ meñ kuchh kahiye
vo bole koī āḳhir sūrat-e-iz.hār to hogī
kahā: ham apnī marzī se safar bhī kar nahīñ sakte
vo bole har qadam par ik na.ī dīvār to hogī
kahā: āñkheñ nahīñ is ġham meñ bīnā.ī bhī jaatī hai
vo bole hijr kī shab hai zarā dushvār to hogī
kahā: jaltā hai dil bole ise jalne diyā jaa.e
añdhere meñ kisī ko raushnī darkār to hogī
kahā: ye kūcha-gardī aur kitnī der tak āḳhir
vo bole ishq meñ miTTī tumhārī ḳhvār to hogī