Etibar Sajid

mujhe wo kunj-e-tanhai se aaKHir kab nikalega

Etibar Sajid

Multan, Punjab, Pakistan

1948
mujhe vo kunj-e-tanhā.ī se āḳhir kab nikālegā
akele-pan kā ye ehsās mujh ko maar Dālegā
kisī ko kyā paḌī hai merī ḳhātir ḳhud ko zahmat de
pareshāñ haiñ sabhī kaise koī mujh ko sambhālegā
abhī tārīḳh naamī ek jādūgar ko aanā hai
jo zinda shahr aur ajsām ko patthar meñ Dhālegā
bas agle moḌ par manzil tirī aane hī vaalī hai
mire ai ham-safar tū kitnā merā dukh baTā legā
sharīk-e-ranj kyā karnā use taklīf kyā denī
ki jitnī der baiThegā vahī bāteñ nikālegā
rihā kar de qafas kī qaid se ghāyal parinde ko
kisī ke dard ko is dil meñ kitne saal pālegā
Top Urdushayar.com