chhoTe chhoTe ka.ī be-faiz mafādāt ke saath
log zinda haiñ ajab sūrat-e-hālāt ke saath
faisla ye to bahar-hāl tujhe karnā hai
zehn ke saath sulagnā hai ki jazbāt ke saath
guftugū der se jaarī hai natīje ke baġhair
ik na.ī baat nikal aatī hai har baat ke saath
ab ke ye soch ke tum zaḳhm-e-judā.ī denā
dil bhī bujh jā.egā Dhaltī huī is raat ke saath
tum vahī ho ki jo pahle the mirī nazroñ meñ
kyā izāfa huā in atlas o bānāt ke saath
itnā paspā na ho dīvār se lag jā.egā
itne samjhaute na kar sūrat-e-hālāt ke saath
bhejtā rahtā hai gum-nām ḳhatoñ meñ kuchh phuul
is qadar kis ko mohabbat hai mirī zaat ke saath