Tariq Butt

wahi aahaTen dar-o-baam par wahi rat-jagon ke azab hain

Tariq Butt

Karachi, Sindh, Pakistan

1950
vahī āhaTeñ dar-o-bām par vahī rat-jagoñ ke azaab haiñ
vahī adh-bujhī mirī niiñd hai vahī adh-jale mire ḳhvāb haiñ
mire sāmne ye jo ḳhvāhishoñ kī hai dhund had-e-nigāh tak
pare is ke jaane haqīqateñ ki haqīqatoñ ke sarāb haiñ
mirī dastaras meñ kabhī to hoñ jo haiñ ghaḌiyāñ kaif-o-nashāt kī
hai ye kyā ki aa.eñ idhar kabhī to lage ki pā-ba-rikāb haiñ
kabhī chāhā ḳhud ko sameTnā to bikhar ke aur bhī rah gayā
haiñ jo kirchī kirchī paḌe hue mire sāmne mire ḳhvāb haiñ
ye na pūchh kaise basar kiye shab-o-roz kitne pahar jiye
kise rāt-din kī tamīz thī kise yaad itne hisāb haiñ
unheñ ḳhauf rasm-o-rivāj kā hameñ vaz.a apnī aziiz hai
vo rivāyatoñ kī panāh meñ ham anā ke zer-e-itāb haiñ
abhī zaḳhm-e-nau kā shumār kyā abhī rut hai dil ke siñghār kī
abhī aur phūTeñgī koñpleñ abhī aur khilne gulāb haiñ
Top Urdushayar.com