Tariq Butt

ab nae ruKH se haqaeq ko ulaT kar dekho

Tariq Butt

Karachi, Sindh, Pakistan

1950
ab na.e ruḳh se haqā.eq ko ulaT kar dekho
jin pe chalte rahe un rāhoñ se kaT kar dekho
ek āvāz bulātī hai palaT kar dekho
duur tak koī nahīñ kitnā bhī haT kar dekho
ye jo āvāzeñ haiñ patthar kā banā detī haiñ
ghar se nikle ho to pīchhe na palaT kar dekho
dil meñ chiñgārī kisī dukh kī dabī ho shāyad
dekho is raakh kī partoñ ko ulaT kar dekho
kaun aa.egā kise fursat-e-ġham-ḳhvārī hai
aaj ḳhud apnī hī bāñhoñ meñ simaT kar dekho
chhoḌ jaate haiñ makīñ apne badan kī ḳhushbū
ghar kī dīvāroñ se ik baar lipaT kar dekho
kuchh tapish aur sivā hotī hai dil kī 'tāriq'
ab to jis yaad ke pahlū meñ simaT kar dekho
Top Urdushayar.com