bujhe to dil bhī the par ab dimāġh bujhne lage
havā hai aisī ki saare charāġh bujhne lage
ye kaisī pyaas hai ai ahl-e-dard kuchh to kaho
ki tishnagī na bujhī aur ayāġh bujhne lage
yahīñ kahīñ se to guzrā thā kārvān-e-murād
havā-e-dasht Thahar jā surāġh bujhne lage
abhī to dil meñ farozāñ the yād-e-gul ke charāġh
abhī se kyuuñ mire jazboñ ke baaġh bujhne lage
havā se lenī thī dād-e-mubārazat-talabī
baġhair bhaḌke hī ye kyuuñ charāġh bujhne lage